INTERNET



Blogger Par Photo Kaise Upload Kare – Blogspot Par Image Daale

Hello dosto, Hume aapke bohot saare mails mile, jada mailo me blogger ki information ki mang ki gayi thi. Hum ek blogger ka section start kar rahe he. Isme aapko hum blogger ke baare me jada se jada jankari dene ki koshish karenge. Hamri koshish yahi rahegi ki aap blogging world me aap apna naam bana sake, aur ek accha blog ya website chala sake.

Chaliye jante he Blogger me Photo Kaise upload kare. Aapne mere ye pehle article me padaha hoga ki Google Blogger / Blogspot par blog kaise banate he.
Blogger ke post me photo add karna kafi asaan he. Mene detail me niche likha he image ko kaise add kare.
Step 1 : Post Kholiye
Jis post me aapko photo upload karna he, wo post open kijiye. Edit link par click kijiye.
Blogger Ka Post Khole


Blogger Ka Post Khole
Step 2: Jaha par Photo daalna he waha click kare
Post open hone ke bad aapko jaha par photo dikhana he, us jagah par cusor laaye, matlab us jagah par click kare.
Jaha par cursor rahega usi jagah par image add hogi.
Blogger Me Photo Kaise Dikhaye
Blogger Me Photo Kaise Dikhaye
Step 3 : Photo wale button par Click Kare
Cursor set karne ke bad, Photo wale button par click kare, Us button ka nam he Insert Image.
Photo wale Button Par Click Kare
Photo wale Button Par Click Kare
Step 4 : Post Me Image Upload Kare
Insert Image button par click karne ke bad aapko ek window dikhegi, usme Upload Section me Choose Files ka ek button dikhega.
Blogger Par Photo Kaise upload kare
Blogger Par Photo Kaise upload kare
Uske bad Image Select kare. Wo Image upload hogi. Uske Bad OK button par click kar de.
Aapko aapki image post me dikhai degi.

Tags : Blogger Me Photo Kaise Upload Kare, Blogspot Me Photo Kaise Daale, Photo Kaise upload kare .









Facebook Par Likes Kaise Badhaye



Facebook Par Likes Kaise Badhaye
Aap bhi ye soch rahe hoge ki Facebook Par Likes Kaise Badhaye. Facebook ek aisi social media sites hogyi hai ki yahan log jyada se jyada dikhai dete hai. Agr aapko kuch vichar vyakt karne hai apne to agar aap yahan karenge to jayda se jyada log jabvab dete hai. Aapne kuch post kiya aur us par like na aaye to aap udas ho jate hai. Lekin hum apko paanch aise tips btate hai jinse aap kisi bhi post par pehle se jyada like pa sakenge. Chaliye Jante he ki Facebook Par Likes Kaise Badhaye.
Photo ka istemal kare
Facebook par apni baat ko image ke saath post kare. Aisa paaya jata hai ki sadharan text kit ulna me tasveer ke istemaal se post hui cheej par 53 fisdi jyada like karte hai. Aise post par log 104 fisdi jyada comment karte hai. Aur is tarah ki post ke throw 84 fisdi jyada click ki sambhavan bhi hoti hai. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
80 character tak matter
Facebook par post karte time text matter ka khyal rakhe. Kam se kam shabdon ka istemal kare. Aisa dekha gya hai ki 80 character tak likhe post par 66 fisdi jyada log samay bitate hai. Jyada shabdo ke istemaal hone par us post ko dekhte hi log aage badh jaate hai. Bahel hi vah kitna bhi intresting kyun na ho. Bhale hi uske andar rochak jaankari kyun na ho. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
Saval post kare
Aisa paya jaata hai ki kisi saval ke post karne par 100 fisdi jyada response dekhne ko milta hai. Apne facebook page par jyada se jyada logon ko engage karne ke liye aap koi saval post kar sakte hai. Saval logon ke man me hal chal paida kar dete hai aur har user iska javab dena chahta hai. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
Post ke time ka dhyan rakhe
Aisa dekha gya hai ki subah 11 baje se raat 8 baje tak facebook par log active rehte hai. Isme bhi dopehar ke time jyada chel pehl rehti hai. Dopehar ke baad sham 3 baje facebook ka pik time hota hai. Is time par sabse jyada user active rehte hai. Yaani sham 3 baje ke aaspass post karne par log jyada react karte hai. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
Rojana do baar update kare 
Rojana ek ya do baars status update karne par aapko 40 fisdi jyada response mil sakta hai. Vahin yadi aap saptah me ek se chaar baar status update karte hai to apko 71 fisdi jyada response dekhne ko mil sakta hai. Yahan 40 fisdi response pratidin aur 71 fisdi par saptah hai. Is data se confuse na ho. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
Tags : Facebook Par Likes Kaise Badhaye, FB Par Jada Likes Kaise Laaye, Facebook Par Likes Laane Ke Tarike.









Computer Ka Speed Fast Kaise Kare 5 Tarike


Kya aap pareshan he apne computer ke slow speed se, Janiye Computer Ka Speed Fast Kaise Kare. Ye Kuch asaan tips aapke computer ka speed fast kar denge – Padhiye Computer Ka Speed
Slow Computer Ka Speed Fast Kaise Kare
Slow Computer Ka Speed Fast Kaise Kare
 Start up krein less
Kai baar log apne system pr start up programe jayda install kr lete hain. Aisa krne se computer ki speed slow ho jati hai. Jin logo ko start up ke bare main nhi pta unhe btate chle ki ye aise programe hote hain jo computer ke hone pr automatically on ho jate hain. Ismai kai visits jaise analog clock, screen news speed, g-talk, skype, bit torrent jaise programe include hote hain jinhe user maximum use krte hain. Is tarike se Computer Ka Speed  bohot fast hote he.
Kaise kre uninstall
* start menu pr jaye or run command chose kre ya fr ‘windows key + R’ click kre
* jo window open hogi usmai “msconfig” type krk enter press kre
* yha se start up tab pr click kre or jis programe ka use nhi krna usko list se hta de
 C Drive ko rkhe empty
Computer main C drive sbse important drive hai. Hard disk ke is part main sbhi important software rhte hain jinke bina apka system run nhi kr payega. Is drive main more data na store kre. Jo useless hai usko kisi or drive main install kre. Koi bhi personal data C drive main na rkhe.
 Gaming computer ke liye kre graphics driver upgrade
Agar aap HD gaming ke saukeen hain toh thuda sa takniki, lekin kaam ka upaye apke PC ko fast bna skta hai. Games ke liye sabse jruri hai ki wo apne PC ke drivers upgrade krte rhe. Drivers wok has programe hote hain hain jo kisi hardware ko chlane ka kaam krte hain. PC khridte time jo drivers wo khas use hote hain jo kisi hardware ko chlane ka kaam krte hain. PC khritde time jo drivers aate hain wo kuch time baad old ho jata hain.
Apne hardware ke hisaab se kisi vender se driver update kiye ja skte hain. PC main AMD, nVidia ya intel jiska bhi graphics processor ho uske hisaab se vender se driver bhi upgrade krwa le. Aise main game khelte time kbhi bhi PC hang nhi hoga.
 Na rkhe ek se jayada Antivirus
Aaj ke jmane main virus ke reason antivirus jruri hai, lekin PC ke hisaab se sirf ek registered antivirus hi kaafi rhta hai. Aise main 2 programe ya alag ke koi firewaal programe install krne pr PC slow ho jata hai. Antivirus and firewaal jaise programe more power lete hain. Aise main 2 programe ek sath kaam krege toh speed less hogi.
 Corrupt file scane kre
Vaise to computer scan karna sabko pata hai par hum apo computer me jo corrupt file hai usko scan karna bta rahe hai . Computer ka operating system hmesha PC ki system file main change krta rhta hai. Inmai more files aisi hoti hain jo system update ke baad corrupt ho jati hain. Aisi files users ke kaam kin hi hoti hain, lekin phir bhi system main space liye rhti hain. Aisi files ko delete kiya ja skta hai ya fir repair kia ja skt hai.
Tags: PC Ko Fast Kaise Kare, Computer Ka Speed Kaise Kare, Computer Ka Speed Kaise Badhaye.





IDM Ka Speed Kaise Badhaye


IDM Ka Speed Kaise Badhaye

Kai baar hum internet se kuch bhi download karte he to wah bahot der leta he. Isse hum tang aakar use band hi kar dete he. Internet se kuch bhi download karne ke liye jo software use karte he unme IDM jyadater istemaal kiya jata he. Aaiye dekhte he ki IDM ka istemaal karke internet se kuch bhi jaldi download kaise kare.
IDM ka matlab he Internet Download Manager. App niche diye gaye anusaar step kijiye aur IDM ka speed badhaiye.
IDM Ka Speed Kaise Badhaye
IDM ke icon pe click kare.
“Option” pe click kare.
“Connection” ke Tab per click kare. Usme Aapko “Connection Type/Speed” uspar click kare aur “Other” ka chunav kare.
(Sankshep pe aapko aise karna he Connection Tab -> Connection Type/Speed -> Other).
Usi tab me ek aur option he “Default Max conn.number” karke. Us par click kare aur “16” ka chunav kare, niche diye gaye anusaar.
IDM band (close) kar dijiye.
Iske baad “Windows+R” ke button dabaaye, niche di gayi screen apke samne aayegi.
Vaha aapko “Regedit” type karke “Enter” key dabaani he.
Phir aapko niche vali screen dikhegi. Usme aapko “HKEY_CURRENT_USER” click karke “Software” per click karna he. Niche diye gaye anusaar.
Ab software ki tab me aapko “Download Manager” ka option dikhega, use chune. Aur apni daye window me “Connection Speed” ke option per do bar click (Double click kare).
(Sankshep aapka path ye tha  – “Regedit> HKEY_CURRENT_USER> Software> Download Manager> Connection Speed>” )
Uske baad aapko niche vali screen dikhegi usme aapko “Decimal” vala option chunana he aur “Valu Data” me aapko “999999999” likhna he aur “OK” vale button per click kare.
“Regedit” band(close) kar de.
Bas badh gaya aapka IDM ka speed. Tasalli ke liye aap niche diye gaye anusaar dekh sakte he.
IDM ke icon pe click kare.
“Option” pe click kare.
“Connection” ke Tab per click kare. Usme Aapko “Connection Type/Speed” uspar aapko nich dikhaye anusaar sab “999999999” dikhayi denge.
Bas ab aap kuch bhi bade jaldi se download kar sakte he.
Ye tarika IDM ka speed badhane ke liye he. Internet aur download ka speed aapke internet ke plan per bhi nirbhar karta he ki aapne kounsa recharge kiya he(2G/3G).
Agar aapko gane, video ya phir movies download karne he to aapko 3G vala hi recharge karna padega aur IDM aapko wo files speed me download karne ke liye madat karega.
Apne dosto aur rishtedaron ko bhi iske bare me bataye aur unka waqt bhi aap hi ki tarah bachaiye.
Tags : Internet Ka Speed Kaise Badhaye, Download Spedd Kaise Badhaye, Net Kaise Fast Chalaye, Internet Download Manager Kaise Fast Kare





Computer Ki Jankari – Sanaganak Kaise Chalaye


Computer Ki Jankari – Computer Kaise Use  Kare

Computer Ki Jankari
Computer Ki Jankari
Aajkal ke ka jamana Computer ka jamana kehlaya jata hai. Computer Ki Jankari jisko hai usi ko mana jata he. Computer ka maehtwa aaj kal bohot badh gaya hai. Abhi har kisiko Computer ki basic cheeje aani chahiye, Har kshetra (field) me abhi Computer ka upayog badh gaya hai.  Jise Computer chalana nahi ata wo nirakshar kehalaya jata he. Janiye Computer Ki Jankari Hindi Me
To fir chalo, jante hai jucch cheeje computer ke bare me, Jante he basic computer kya hota hai aur use kaise use karte hai.
Computer Kya Hai
Computer ek yantra he, English me use device kehte he, Electronic device. Jisko Hame kuch data dena padta he, matlab shuruwat me computer sirf ek blank device rehta he, hume usme jankari store karni padti hai, uske bad wo chalu karne ke bad hamare diye gaye nirdeshoke (instructions) ke anusar wo hame store kiya hua data jise hum information kehte he. Wo hume batata he.
Computer Me Programs hote he, jo ye data ko information me badalta he aur hame bhejta hai. Jin nirdesho ke anusar ye Computer kam karta hai use Program kehte hai. Hindi me Computer ko Sanagank bhi kaha jata he. English me kayi log use PC bhi kehte he. PC matlab Personal Computer, yani Vyaktigat Computer. Personal Computer ek banda hi use kar sakata hai. Aapne Shared Computer bhi suna hoga, is prakar me ek hi Computer par ek se jada log kam kar skate he.
Data Kya He
Aapne data shabd bohot bar suna hoga, Computer ke kshetra me ye vibhinna prakr me prayukt hota he. Jis par prakriya karne se arthpurn suchna prapt hoti he. Data ko raw data bhi kaha jata he. Jiska matlab he jispar koi prakriya nahi gyi ho. Data alag alag rup me hamare computer par rehta he, jaiseki Images, Photos, Videos, Gaane, File, Documents. Raw Data par Prakriya karne ke bad usko Information me badla jata he.
Prakriya Kya Hai
Data jaise akshar, ank, sankhya, ya kisi image, video ko suvyavasthit karne ki unki ganana ko prakriya kehte he. Kisi bhi data ko arthpurn jankari me badlne ke liye use prakriya se gujarna jaroori he. Uske bad uska information me rupantar hota he.
 Ganana aur Tulana Kya he – गणना / तुलना 
Jodna, Ghatana, Guna karna aur bhag dena ya fir ausat karna ye sari chieeje Ganana me aati he. Computer me ek vibhag hota he is Ganan kriya ke liye use CPU kaha jata he.  Ye karya Decision Making me bhi aata hai. Computer manushya se kafi tej he kyo ki, Computer ki calculation power bohot tej hoti hai.
Nirnay Lena – Decision Making
Computer hamare diye gaye suchna ke adhar par apne aap decision leta he ki is suchna par kya operation karna he. Computer shart aur tark ke adhar par ye nirnay leta he. Central Processing Unit ke jariye sare nirnay liye jate he, Computer ka karya input devices se milli suchnao ke adhar par chalta he. Input device me Mouse, Keyboard, Scanner in sbahi cheejo ka samavesh hota hai. Decision lene ke bad un signals ko hum output devices par dekhte hai, jaise ki Monitor, Printer.
Logic – Tark  तर्क
Aavashyak parinaam ko prapt karne  ke liye pado ke kram ko Logic kaha jata he. Prakriya kewal ank aur sankhya ki ganana ko hi nahi kehte, baliki  Computer ki shayata se dastaveji  me trutiya dhundhna, problem ko vyavasthit karna jaise kai kaam bhi Logic vibhag me aate he. Is vibhak mo english me Arithmetical and Logical Unit kehte hai. Is unit se saare functions Memory Unit se jude hote hai, jaha se temporarily save ki hua data ka istamal karke wo tark lagage apne decisions leta hai. Ye unit bhi decision lene wale unit se Juda hota hai.
Computer Ki Block Diagram
Ye diagram dekh kar aapko computer ke functional units ka andaaj aa jayega.
Computer Block Diagram
Computer Block Diagram

Input Devices
Computer Ko suchna dene ke liye hume input device ki aavashyakta hoti hai. Bohot saare devices he jinse hum computer ko instructions de skte hai.
  • Keyboard
  • Mouse
  • Joy Stick
  • Light pen
  • Track Ball
  • Scanner
  • Graphic Tablet
  • Microphone
  • Magnetic Ink Card Reader(MICR)
  • Optical Character Reader(OCR)
  • Bar Code Reader
  • Optical Mark Reader(OMR)
Output Devices
Computer se prapt ki hui information ko user ko batane ke liye ya represent karne ke liye output device use hota hai, Hum apni sari jankari computer ke screen par dekhte hai, wo ek output device hai.
  • Monitors
  • Graphic Plotter
  • Printer
  • Projectors
Tags : Computer Ki Jankari, Sanganak Ki Jankari, Computer Ki Jankari Hindi Me, Computer Kaise Chalaye, Computer Kaise Chalta Hai, Computer Ke Fayde, Computer Kaise Kam Karta Hai, Computer Kaise Chalta Hai

2 comments:

  1. 1000 rs kamaye par day
    Join kare aj hi - http://champcash.com/128712
    For more deatels contect whatsapp-9643917368

    ReplyDelete
  2. Website se paise kamane ke liye abhi likh karein - https://digitalmarketinghindi.in/google-ranking-factors-in-hindi/

    ReplyDelete