Thursday, 22 October 2015

Upwork.com per Online Job Kaise kare?

Upwork.com per Online Job Kaise kare?

odesk-now-upwork

Upwork.com ko odesk.com ke nam se jana jata hai jo ki online market place hai contractors, companies aur freelancers ke liye. Upwork par aap kahi se bhi kam kar sakte aapne gharse bhi. Jo kam aapko diya hai usko karne ke liye kuch samay bhi diya hota hai us samay me aapko utna kam pura karna pdta hai.

Upwork kam kaise karta hai?

Upwork ek marketplace hai clients & freelancers dono ke liye. Clients  koi bhi job jo ki online complete ho sake wo  upwork.com par post karte hai. Fir freelancer us job ko dekh kar apply karte hai aur pure world se kahi se bhi kar skate hai. Uske bad ki proccess ye hai ki clients freelancer ki interviewe lete hai aur jo freelancer acha laga uske sath kam start karte hai, aur jaise hi job complete hoga freelancer ko uske paise mil jate hai.

Jo bhi kam upwork pe hota hai uski 10% fee Upwork rakh leta hai.
Upwork use karne ke liye bahot simple hai. Upwork par jo bhi kam pura hoga usmese 10% fee upwork rakta hai aur ye unki income hoti hai.

Upwork par kam karne ke liye kya jaruree hai?
  • Aapko english achi aani chahiye
  • Aap kisi bhi ek category me expert hone chahiye
  • Aap khud hi upwork ko read kare taki aapko samaj aaye
  • Upwork aapki kuch test lega usme aap pass hone chahiye
  • Aapki writing professional hona jaruree hai
  • 1 se jyada account na banaye

Aap Upwork par kitne paise kama paoge?

Ye uspar depends hai aap kam kitna kar sakte hai aap jitna kam karoge utna aapi income hogi. Agar aap akele kam karoge to aap lagbag 100$ – $500 tak monthly kama sakte hai. Income aapki skills per nirbhar karti hai. Agar aapki koi company hai toh aap $ 50,000 kama sakte hai aapni team ke sath, par is sawal ka koi correct jawab nahi hai ki aap kitna kama paoge.


I hope aapko ye post pasand aa gai hogi agar aapka koi sawal hoga toh comment kare.

2 comments:

  1. English aana hi chaye kiya
    hame Hindi ke ilaba kuch vi nahi aata hai .

    ReplyDelete