Hindi Typing Kaise Kare – Tarike Hindi Me
Hindi Typing Kaise Kare – Aam tor par
hamare pas English keyboards hote he, Aur hamara jadatar kam Hindi me
hota he. Fir us samay Hindi me type karna kambakth bada mushkil ho jata
hai. Par abhi chinta mat kijiye, Me aapko aaj Hindi me type karne ka
sabse aasan tarika bataunga. Hindi Typing Kaise Kare ye me aapko batata
hu. Aap kuchi seconds me Hindi bhasha me type karne lag jaoge.
Aab baat aati hai hindi typing ki. Yadi
samanya application jaise wordpad, internet explorer aadi me hindi type
karne ke liye ek unicode font ka hona hi paryapt hai. Lekin windows me
har jagah hindi likhne hetu hindi aur anya bhartiye bhasha ka support
enable kiya jaana chahiye.
Window me hindi support enable karna
Hindi Typing Kaise Kare – Windows XP me
iske liye control panel ke regional aur language settings me jaaye. Iske
baad language tab par click kare supplymental language support me
install files for complex script aur right to left language checkbox ko
select kare aur ok par click kare. Ab apse windows Xp ki cd maangi
jaayegi jiske uprant installation prakriya sampanna hogi.
Hindi typing ki vaise to kai vidhiyan hai par prachalan me nimn teen hai.
Ramingtan typing
Hindi Typing Kaise Kare – Yeh vala sabse
purana aur kafi had tak outdated tarika hai. Yeh ek touch typing vidhi
hai. Iske liye pehle hi typewriter par hindi typing sikhi honi chahiye.
Yeh sirf unke liye upyogi hai jinhone pehle se typewriter par hindi
typing sikhi ho aur iska abhyas ho. Computer par naye sire se sikhne
hetu yeh upyukt nahi hai.
Inscript typing
Hindi Typing Kaise Kare – Iska vikas
bharat sarkar ke rajyabhasha vibhag ne kiya tha. Yeh bhi ek touch typing
pranali hai. Yeh vidhi bhartiya bhashaon me typing ki sarvadhik
vaigyanik vidhi hai. Is vidhi se computer par sarvadhik gati se hindi
type ki ja sakti hai. Yadapi ye hindi typing ki sarvashresht vidhi hai
lekin iske liye bhi kuch samay abhyas karna padta hai.
Phonetic typing
Hindi Typing Kaise Kare – Yeh hindi type
karne ka sabse aasan aur vartaman me sarvadhik prachalit tarika hai.
Iski khasiyat hai ki ise sikhne me bilkul samay nahi lagta. Aap sidhe
hindi me likhna shuru kar sakte hai. Udharan ke liye aapko raam likhna
hai to aap type karene “rama : Yeh bhartiya bhashaon ke dhaurnayatmak
gun par adharit hai, arthat jaisa bola jata hai vaisa hi likha jaata
hai. Aur internet par adhiktar hindi prayogkarta isi vidhi ka upyog
karte hai. Adhiktar nayi site aur software bhi isi ko apna rahe hai aur
ab hum isi ke bare me charcha karenge.
Phonetic hindi typing ke liye do tarah ke tools uplabdh hai – online aur offline.
Online tool
Online valon me aap tool ki site par
jakar vahan hindi me type karke fir use copy karke jahan likhna ho vahan
paste karde. Isliye yeh tareeka upyukt nahi, isme copy paste ka janjhat
hai. Dusra chunki ye tool adhiktar server par aadharit hote hai. Unki
typing speed kam hoti hai. Is tool ka ekmatra laabh yeh hai ki apne
computer se dur hone par aap bina koi tool download kiye site par jakar
hindi likh sakte hai. Udhaharan ke liye hindni aur uninagri namak tool.
Aur ek online tool he google translator
jo is waqt dinya ki kisi bhi bhasha ko kisi dusri bhasha me badalta he.
Par ye bhi abhi tak puri tarah se sahi nahi batata.
Demo dekhne ke liye aap yaha click kar sakte he – https://translate.google.co.in/
Offline tool
Dusri or offline tool ko ek baar
download karke use kisi bhi windows application jaise wordpad, google
talk aadi me kahin bhi sidhe hindi likh sakte hai. Is tarah ke tools ko
Phonetic typing kaha jata hai. Niyamit prayog ke liye yeh tool upyukt
hote hai. In tools ki speed tej hone ke saath hi inke dvara likhna
kahinadhik suvidhajanak hota hai. Iske atirikt inme kai any function bhi
hote hai.
Tags: Hindi Typing Kaise Kare,
Hindi Me Kaise Type Kare, Computer Me Hindi Typing Kaise Karte He, Hindi
Me Typing Ke Tools Konse He, Hindi Me Kaise Type Karte He.
No comments:
Post a Comment