Wednesday, 21 October 2015

Gmail par Email Account Kaise Banaye


Gmail par Email Account Kaise Banaye

Gmail par Email Account Kaise Banaye – Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek email account ho,  Sari duniya ab internet par aa gayi hai, agar koi job ke liye apply karta hai to use email account lagta hai, koi agar bank account banata hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.
Is post me hum janege ki Email account kaise banaye, Email account dene wali Gmail seva ke bare me hum janenge. Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail account kais banate hai.
Google Gmail Kya Hai
Gmail ye Google ki ek free service he jisse hum free mai hamara email account create kar sakate hai. Account banana ke liye hame jana hoga gmail ki website par jo he www.gmail.com. Pehle aap apna web browser khole. Usme www.gmail.com type kare aur wo website open kare
GMail Kya Hai
GMail Kya Hai
Agle screen  mai aapko ye screen dikhayi degi.
 Create Account button par click kare
Is screen par Create Account button par click kare.
Naya Email Account Banaye
Naya Email Account Banaye
Agli screen aisi dikhegi.
Email Account Ki Details Bhare
Email Account Ki Details Bhare
Yaha aapko aapki jankari bharni hai.
Apka naam, aapka gender, aapka phone number aur sabse important aapka gmail id. Jo id aapk
Chosse your username is box me likhana hai. Example : rajendra.kumar@gmail.com
Saari jankari bharne ke bad aapko apna mobile number verify karna he.Filal Next Step button par click kijiye.
Phone Number Verify Kare
Agle screen par aapko apna mobile number verify karna he, Google ye pata lagata he ki jo account aap bana rahe he wo sach me aapka account he ya nahi, isse fake accounts banana ki bohot kam chances rehte he.Is process me aapko apna mobile number Phone Number box me dalna he.aur Continue button par click karna he. Aapko aise screen dikhegi.

Email Account Kaise Verify Kare
Email Account Kaise Verify Kare
Continue button  par clickkarne ke bad aapke mobile par ek message aayega, us message me Google ne ek code send kiya hoga wo code 5 digit code rehta he, wo code bohot important hai, uske bager aap email account anhi bana sakte.
Phone Number Verify Kare
Phone Number Verify Kare
Wo code aapko is box me likhna he aur Continue button par click karna hai
Email me login Kare
Uske bad aapka email account tayar ho jayega.
Aapke pas aapka khudka email account hoga, abhi aap firse www.gmail.com par jaye
Waha apna email id aur password dale aur login kare. Login karne ke bad aap kisiko bhi Email send kar skte ho, Bahar se aaye hue emails padh sakte ho. Jab aapka kam ho jaye to log out karna na bhule. Aur aapka Gmail ka password kisi ko na de. Nahi to aapka Gmail account hack ho sakta he.
Aapko Email Account Kaise Banaye ye post kaise laga please niche comment me likhiye.
Tags: Gmail par Email Account Kaise Banaye, Gmail par Account Kaise Banaye, Email Account Kaise Banaye, Apni Email Id Kaise Banaye.

No comments:

Post a Comment